|
HI f'nds ye kahani un pyar karne walo ke naam hai jo pyar me jinda rah kar pyar ko nibhate hain.
Main ek baar train me safar kar raha tha aur time pass karne ke liye Romeo Juliet ki book padh raha tha. meri saamne wali seet me lagbhag 85 saal ka aadmi baitha tha main uski or nahi dekh raha tha lekin wo mujhe aur meri book ko dekhe jaa raha tha phir usne mujhse poocha love story padh rahe ho maine kaha haan. Usne mujhse kaha ki pyaar me jaan to sabhi dete hain par pyaar ka asli maza to tab aata hai jab uski dheemi si tapis me jalte hue jinda rahkar uske dard aur khusi ko saha jaaye. maine usse kaha ki aaj kal aisa pyaar kaha milta hain usne kaha ki main tumhe ek kahani suna sakta hoo agar tum sunna chaho to maine socha ki chalo issi bahane time paas bhi ho jaayega maine haa kiya aur usne kahani suru ki
TO BE CONTINUED....................

|